Online Job Start

Thursday, 9 May 2019

New Bloggers ke liye 3 Best Ads Network

Hi Friends

New Bloggers ke liye 3 Best Ads Network, New Blog par bhut aasani se Approval milne wale 3 Best Ads Network. Agur aap Adsense se apne blog ko Approve nhi karva pa rhe hai. To aap ise post me bataye gye Ads Network ko bhi try kar sakte hai.

New Bloggers ke liye 3 Best Ads Network

Dosto Agur aap ke blog ka traffic down hai. To aap ise post me bataye gye ads network ko try kar sakte hai. Agur aap bhi badhiya ads network dhundhe rhe hai. Jo ki ADsense ke jaisa ho. Approval me koi problem nhi kare. To aap inmese koi bhi Ads Network ko try kar sakte hai.

Dosto Ye Ads Network blog par bhut hi asani se approval dedete hai. Aap ek baar try kare inke CPC Low ho sakta hai  Adsense se. Lekin aap try jarur kare. Agur aap ke Applications ko vo baar – baar reject karta hai to. Lekin Blogger ke liye Adsense se best or koi bhi ads network market me available nhi hai.

New Bloggers ke liye 3 Best Ads Network

Dosto aap inmese koi bhi apne blog me ads ke liye use kar sakte hai. Agur adsense aap ke blog par approval nhi de rha hai to.

1. Pop Ads

Dosto Agur aap ka new blogs hai. Aap ko instant paise ki jarurat hai. to aap POP ads use kar sakte hai. Aap chahe to agur aap ko pasand aaye to aap ise hmesa use kar sakte hai. Ye harek parkar ke content ko Approval deta hai. Agur aap ka koi website Adult se related hai. To Pop Ads aap ke Adult content ko bhi approve kar deta hai.

Pop Ads me aap ko minimum traffic ka bhi koi jarurat nhi hota hai. Or sabse best chij ye hai ki ye bhi CPM ads network hai. Jisme aapko impression ke according earning hota hai. Ab hm baat karte hai iske kuche benefits ke bare me.

1. Pop Ads Aap ke blog ko Instant Ads ke liye Approval dedeta hai.

2. Isme aap ko Minimum traffic ka jarurat nhi hota hai.

3. Iska Minimum Payout bhi kam hai. Sirf 5$ hi iska minimum Payout hai.

4. Iska CPM bhi best hai.

5. Ye payment dene me koi problem nhi karta hai.

Pop Ads Payment Bank me nhi transfer karta hai. Iska payment aap ko Payoneer ya paypal me le sakte hai.

2. Propeller Ads

Dosto Propeller Ads bhi best hai. Ye bhi ek CPM ads Network hai. Lekin iska India me CPM Rates thora kam mile sakta hai.

Propeller ads Use karne ke fayde

1. Sabse phele aap ko iske website pe jana hai or Signup pe click karke Apna details bharde.

2. Isme aap ko Impression ke bhi paise milte hai. 1000 Impression ke 1$ to 5$ tk mil sakta hai. Agur aap ke blog par traffic India se bahre ka hai to.

3. Propeller ka Minimum payout Pop Ads se jyada hai. Iska minimum payout 25$ hai.

4. Ise Ads Website se aap Payoneer or Paypal se Withdraw kar sakte hai. Ise ka Bank Transfer charge jyada hai.

3. Revenue Hits

Dosto Revenue Hits Ads network bhi best hai. Par  ye sabhi ads network se alag hai. Ye aap ko Ads ko dekhna or uspe click karne ke paise nhi deta hai. Lekin iska CPA Rates jyada hai. Agur aap ke blog par traffic jyada hai to aap iska fayda bhut jyada utha sakte hai. Lekin isme bhi depends karta hai ki aap ke blog par traffic kaisa aata hai.

Revenue Hits agur aap ads apne blog par lagate hai. To use ads pe jab koi click karta hai. to vha pe ek form me details fill karne pe paise deta hai. Per details fill ke aap ko 1$ to 50$ tk deta hai. Depend karta hai. Visitors kise country se hai. Agur manlo aap ke blog ke ads pe click karke 6 Form bhi fill ho jata hai to kam se kam aap per day 10$ to 50$ tk kama sakte hai.

Revenue Hits use Karne ka fayda

1. Agur aap ke blog ke ads pe click karke koi data deta hai. to aap ko 1$ to 50$ tk mil jayega depend karta hai vo data kise country ka hai.

2. Is ads network ka payout 50$ hai.

3. Revenue Hits Ads me minimum traffic ka koi jarurat nhi hota hai. Ye instant blog ko approval deta hai.

4. Iska CPA Rates 50$ tk hai.

Dosto ye maine New Bloggers ke liye 3 Best Ads Network bataye aap inmese koi bhi ads network ko apne blog me use kar sakte hai. Vo bhi bina kisi problem ke.

Ok Friends aaj ke New Bloggers ke liye 3 Best Ads Network post me bs itna hi. Agur aap ko ye post pasand aaya hota ise post ko apne friends ya family ke sath share jarur kare. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem hoto aap contact  form bhare ya aap comment bhi kar sakte hai. Or hmare social media network ko bhi like, share or join jarur kare.

Ye bhi Padhe

Sunday, 7 April 2019

Quora Se Paise Kaise Kamaye ? Quora Partner Program 2019 kya hai ?

Hi Friends,

Quora Se Paise Kaise Kamaye ? Quora Partner Program 2019 kya hai ? Dosto Quora ek best website hai. Apne problem ka solution dhundhne ke liye. Dosto Agur aap ek Blogger hai ya aap ek Youtuber hai. Aap ka koi business hai to Quora website aap ke liye bhut jyada faydemand ho sakta hai. Agur aap thora sa dhyan de to.

Quora Partner Program 2019 kya hai ?
Quora Se Paise Kaise Kamaye ? Quora Partner Program 2019 kya hai ?

Dosto Quora website ka use vaise bhut se log karte honge. Lekin iska sabse jyada fayda uthate hai. EK blogger or Youtuber kyo ki ye vha pe Question ka Answer dete hai. Or uske sath vo Vha ka Traffic bhi apne website pe le jate hai. Agur kisi website pe koi person enter hota hai. to Uske website pe agur ads hai or vo person use ads pe click karta hai. to use website Admin ko earning hota hai.

Agur aap koi business karte hai to aap apne business se related question pe comment karke uska reply de or use apne product ke bare me bataye. Agur aap ko koi product hai apna khud ka to aap quora ka use karke ascha paise kama sakte hai.

Aap agur quora ke website pe jayenge to aap ko use website pe Amazon or Flipkart jaise website ke Affiliated program ke link mile jayenge. Bhut se log Quora website ke jariye khud ke paise bana rhe hai. Quora pe apna product ke bare me bata kar.

Aaj ke ise post me hm janege Quora Advertising program kya hai, Quora Advertising Program se paise kaise kamaye.

Dosto Quora website ko aap hindi language me bhi use kar sakte hai. Bhut se logo ko English language utna samajh nhi aata hai. to vo use hindi language me bhi use kar sakte hai. Dosto aap kisi bhi question ka answer hindi me bhi de sakte hai.

Dosto Aap ko ise Quora website pe aap ke puche gye question ka Answer bhut jaldi milta hai. Or aap ke ek Question ka kai Answer log apne tarike se dete hai. Aap ko ism eek chij ke bare me bhut sare knowledge mile jata hai.

Quora kya hai hmne pichle post me jaan liya tha. Agur aap ne nhi padha to aap use page par visit kar padhe sakte hai. Jaane ke liye aap yha Click Kare.

Quora se kya fayde hai ?

Dosto Quora se kya fayde hai. iske bare me bhi hmne pichle post me thora bhut jana tha. Lekin hm aaj ke ise post me Quora se Related bhut se chijo ke bare me janege. Quora ek Question – Answer website hai. Jha pe Aap kisi bhi chij se related Question kar sakte hai. Ya aap kisi bhi Question ka Agur aap ko sahi Answer aata hai, to aap use question ka Answer bhi de sakte hai.

Quora se aap kai parkar se paise kama sakte hai. Quora ne Parter program bhi start kiya hai. Jiska use karke aap quora se paise bhi kama sakte hai.

Quora website har ek person ke liye faydemand hai jo log koi question ka answer janana chahte hai. Ya aap kisi chij ke bare me aap bhut se logo ka ray lena chahte hai. To iske jariye le sakte hai. Quora website ke jariye aap chota sa survey bhi kar sakte hai. Apne company ke bare me ya aap koi product sell karrte hai. to aap use related question pe ja kar comment kar sakte hai.

Ya aap quora ke website pe ja kar Question karke bhi puche sakte hai. Dosto Quora website pe bhut se visitors aate hai. Apne Question/Problem ka solution ke liye. Agur unke problem se related aap ke pass answer hai. to aap unka problem solve jarur kare.

Aap Quora website ka use karke apne blog ya kisi bhi product, Business ko promote kar sakte hai. Quora website pe bhut se person visit karte hai. Pure world ke log ise website pe visit karke apne problem ka solution dekhte hai. Ya dusre ka problem solve karte hai.

Aap Quora website pe Affiliated program bhi use kar sakte hai. Bhut se log Quora Website se Affiliated Marketing pe work karke paise kama rhe hai.

Ab sabse bada baat ye ki Quora ko join kaise kare ?

Quora ko Join Kaise Kare ?

Dosto Quora pe Agur aap ka Account nhi hai. to koi baat nhi aap bhut hi asani se bana sakte hai. Aap ko Quora website pe Account Create karne ke liye aap ko 2Option diye jate hai.

1. Gmail
2. Facebook

Aap inmese koi bhi Account ka use karke Signup kar sakte hai. Aap ko jise Id se open karna ho kar sakte hai. Aap login karke fir Quora me enter ho sakte hai or fir Apne Profile ko complete kare.
Quora Partner Program Kya hai ?

Dosto ye ek trhe se adsense ke trhe hi ads provide karta hai. Ye ek Monetization Program hai. Jise trhe se Adsense ke ads ke liye unka apna Terms & Condition hai. isi trhe Quora Ka bhi apna Terms & Condition hai.

Sabse phele to aap ke pass Quora Partner Program me judne ke liye. Quora ka Account hona chahiye.

Jo bhi Quora User Monetization ke liye thik hai. Use Quora ke tref se ek mail bheja ja rha hai. Quora Monetization ko Add karne ke liye.

Aap ko Quora Monetization ka enable karane ke liye apne Account ko best banana hoga. Jise Quora ko Lage ki aap ko bhi Monetization ke liye Enable ka mail bheja jaye.

Quora Partner Program ko Join karne ke liye kya kare ?

Quora Partner Program/ Quora Monetization Enable ke liye kya kare. Iske liye mai kuche tips bata rha hu. Ye mai sirf kuche tips de rha hu. Mai 100% sure to nhi hu ki aap ye karenge to aap ka Account Quora Monetization ke liye Enable ho jayega. Lekin aap ek baar try kar sakte hai.

  • Dosto Jab aap Account Create karte hai. To aap sabhi details ko thik se fill kare. Aap apna Profile Picture bhi best lagaye.
  • Dosto Profile details me aap apne Knowledge or interest ka bare me jarur likhe. Jise ye clear ho sake ki aap ko kise chij ke bare me pata hai.
  • Aap ke samne koi yesa Question hai. Jiska Answer aap ko pata hai. Aap uska Reply jarur de. Ta ki Quora ko pata chale ki aap Active hai.
  • Aap Answer dene ke sath Question bhi jarur kare. Agur aap ko kisi bhi chij ka details chahiye to.
  • Aap apne Answer me koi bhi faltu ke link share n kare. Agur aap galat link paste karte hai. To aap ka Quora Account bhi block ho sakta hai.

Aap apne profile ko best jarur banaye. Or aap jitna ho sake Quora pe Active Jrur rhe. Aap Question ke Answer ka Reply dekar Quora ko dikha sakte hai. Ki aap Quora pe ek Active person hai.

Ok Friends aaj ke Quora Se Paise Kaise Kamaye ? Quora Partner Program 2019 kya hai ? post me bs itna hi.Agur Aap ko ye post pasand aaya hoto Apne Friends or Family ke sath share jarur kare. Isi trhe ke latest jankari ko padhne ke liye Aap hmare Blog ko apne Email Id ke help se Subscribe bhi kar sakte hai. Or aap hmare Social Media Network Ko bhi join kar sakte hai. Jise ka link aap ko Ise page pe Down side me mile jayega.

Saturday, 30 March 2019

Mutual Funds Kya hai, Mutual Funds me paise kaise invest kare

Hi Friends,

Mutual Funds Kya hai, Mutual Funds me paise kaise invest kare, Mutual Funds me investment karne par jyada Percentage provide karne wali Company konsi hai. Kya Mutual Funds Risky hai. Mutual Funds me kya Low Salary wale investment kar sakte hai. Ise Related or bhi bhut se question ka jawab aaj mai aap ko ise post me dene ka koshis karunga. Agur mai aap ke question ka answer n de pau to aap Comment karke puche sakte hai.

Mutual Funds Kya hai, Mutual Funds me paise kaise invest kare
Mutual Funds Kya hai, Mutual Funds me paise kaise invest kare

Mutual Funds me paise kaise Invest kare. Ise post ko mai kafi time se likhne ka soch raha tha. Finally aaj mai Mutual Funds Kya hai, Mutual Funds me paise kaise invest kare post likh rha hu. Dosto Mujhe Mutual Funds or Stock Market me kaam karte jyada time nhi hua hai. Lekin ha mai Daily Trade bhi karta hu or Uske sath Daily mai Stock Market Read karne me 1 to 2 hour undar read bhi karta hu. Jise mujhe itna knowledge to ho gya hai. ki mai daily 300 to 500Rs undar Earn kar leta hu or Delivery me bhi mai 30000Rs tk ka delivery kar leta hu. Jise mai kuche jyada nhi samajhta hu.

Mujhe ye nhi lagta hai ki mere pass jyada knowledge hai. lekin jitna bhi hai mai aap ke sath thora share karna chahta hu. Mai Mutual Funds me pichle 6Years se lagatar Investment kar rha hu. Or Stock Market me bhi mai 15 May 2018 se Work kar rha hu. Yesa nhi hai ki mai Daily 300 to 500Rs earn kar rha hu to mujhe loss nhi hota hai. Or iske sath hi Intraday me maine bhut loss bhi kiye hai. Abhi tk Total Intraday me mere se 4 thousands se lekar 6 Thousands tk ka loss hua hai.

Isme se bhut hi kam mere apne karan se hua hai. Or bhut jade loss mujhe hue hai. Jo Trading karane ke liye jo third party person call karke tips dete hai unke karan hua hai. Isliye mai aap ko salah dunga ki Kirpya aap kisi bhi istrhe ke company ke bolne par koi bhi call n le vo agur buy ya sell karne ko khete hai, to yesa n kare. Aap ko ise loss uthana pade sakta hai. Mujhe bhut jyada loss hua hai unke khene pe jab bhi maine kisi bhi stock ko buy ya sell kiya hai. iseliye aap ko koi bhi call aaye aap unki baat n sune.

Kher hm Stock market ke bare me baad me or kisi post me baat karenge. Ye post mai mutual funds me investment ko lekar likh rha hu. To hm ise post me sirf mutual funds ke bare me hi baat karenge. Agur aap ko mutual funds me bhi investment ke liye call aaye to sirf unke khene pe mutual funds me investment n kare.

Ab hm chalte hai apne main topic ki or.

Mutual Funds Kya hai ?

Mutual Funds ek Investment hai. Jisme aap ko apne decide kiye gye system ke hisab se company ko paise dena hota hai. jaise ki aap jo paise dete hai company ko apne tarike se vo investment karti hai. hm or thik se samajhte hai.

Jaise ki aap ne koi company select kiya or aap ne tye kiya ki aap per month use 2years tk 500Rs denge. Aap ke trhe hi or bhi unke client hone jo aap ke trhe hi investment karna chahte honge. Mutual Funds me Jab aap unhe paise dete hai. Or baki sab logo se bhi paise le kar ek place par ikatha karte hai.

Fir vo un paise ko apne tarike se best Company me investment karte hai. Jise vo ek best return nikalte hai. Or fir ye return vo aap ko de dete hai. Isme aap ka koi limit nhi hota hai. Kuche log to 3years ke investment karte hai. Jisme unhe best return bhi milta hai. kamse kam aap ko 10% se above to mil hi jata hai. Kuche Company ka Report 3 Years to 5 Years under 24% ka bhi return provide hai.

Mutual Funds ka matlab hota hai agur hm aasan sabdo me khe to. Sabhi Itrested person jo use company me interest rakhte hai. Unka paisa ikatha kar use vo apne tarike se Invest karte hai. Or fir hone wala profit vo sabke sath share karte hai. Agur aap Long time tk Investment rakhte hai.

To aap ko jyada percentage profit hone ka chance hota hai. Agur aap bhut hi short term ke liye investment karte hai. to aap ko jyada profit nhi hota hai. Aap ka paisa kam bhi ho sakta hai.
Kya Mutual Funds Risky hai

Dosto Agur aap limit se jyada karte hai. to ji ha Mutual Funds Risky ho sakta hai. Jaise ki Agur aap ka salary 10000Rs hai to aap phele dekhe ki aap ke pass kitna paisa bach rha hai. Jaise ki aap ke pass monthly 4000Rs bache rhe hai. to aap usme se first time 1000Rs Monthly Mutual Funds me investment kare. Or baki ke paise ke liye aap per month kisi best bank me RD karle per month ko lekar.

Aap per month agur Mutual Funds me invest karte hai. to aap ka risk kam ho jata hai. kyo ki kai baar kisi month me market high hota hai. or kai month me market low ho jata hai. Agur aap per month mutual funds me invest katrte hai. to aap ko kabhi bhi jyada loss nhi hoga. Or Aap ka Profit bhi badhe jayega.

Agur aap Apne bache hue paise ko thik se manage karke chale to mutual funds bilkul bhi Risky aap ke liye nhi hoga. Agur aap ka Salary 10000Rs hai aap mutual funds me 8000Rs monthly invest karna start karenge to aap ke upar load jyada padega. Istrhe me aap ya to apna Mutual Funds Investment cancel kar denge. Ya fir aap ko loss ka samna karna padega.

Agur aap koshis karke bharte bhi hai to aap ko bhut paresani ka samna karna padega. Ise liye aap hmesa apne salary ka bhut hi kam hisa hi mutual funds me invest kare. Jise mutual Funds Aap ke liye Risky nhi hoga. Or aap Bank me bhi RD karvane ka koshis jarur kare. Mutual Funds Unhi person ke liye Risky hota hai. Jo thik se work n kare.

Mutual Funds me paise kaise invest kare?

Dosto Mutual Funds Paise Invest karna bhut asan hai. Aap ko Sabse phele market me dekhna hai. Ki kise chij ka jyada demand hai. Or konsa product best hai. Or uska use Log jyada karte hai. Use Company ke upar jyada karja ya koi Case n ho. Aap ko in chijo ka dhyan rakhna hai.

Aap phele ka Report check kare. Ki konsi company best Interest provide karti hai. Uska Product kaisa hai. Kya log uska product use karke happy hai. Unhe use company ka product use karne se kya fayda hai. Future me kya use company ka product best response dega. Jise ise company ko profit ho kyo ki company ko profit hoga to hi aap ko bhi profit hoga.

Ise liye aap ko in chijo ka dhyan rakhna hai. Aap ko Company ke profit ko bhi dhyan dena hai. First time me aap low price investment kare. Baad me khud hi aap ka investment badhte jayega. Jab aap ka First target pura hoga. Matlab ki Agur aap 3Years ke liye investment kar rhe hai. to uske baad jab vo paise return aayega to aap use paise ke sath or bhi apne paise invest karke extra interest le sakte hai.

Mutual Funds me kya Low Salary wale investment kar sakte hai?

Dosto maine upar aap ko bataya hai ki sabse phele aap ko money ko manage karna hai. ta ki aap ke upar koi problem n ho. Agur aap Money manage karna sikh lete hai. Matlab ki aap ko jo salary mil rha hai. Usmse aap kuche paisa bacha lete hai. Or use Mutual Funds me invest karte hai. To fir aap ise profit le sakte hai.

Mutual Funds me kya Low Salary wale investment kar sakte hai. ji ha bilkul kar sakte hai. kyo ki maine bhi jab investment kiya tha to mujhe monthly 8000Rs milte the. Or ha maine Mutual funds me investment kiya tha. 500Rs per month ke according. Mera Mutual Funds me investment chalta tha. Aap bhi thore paise se investment start kar sakte hai.

Aap kisi Funds Manager ka bhi salah le sakte hai. Investment karne ke liye ya fir aap apne bank manager se bhi mil kar salah le sakte hai. Aap kabhi bhi Market down hone par apna funds nikale na nhi to market upar jayega to aap profit ka benefits nhi le payenge.

Ok Friends aaj ke Mutual Funds Kya hai, Mutual Funds me paise kaise invest kare, Mutual Funds me investment karne par jyada Percentage provide karne wali Company konsi hai. Kya Mutual Funds Risky hai. Mutual Funds me kya Low Salary wale investment kar sakte hai post me bs itna hi. Agur aap ko ye post Pasand aaya hoto ise post ko apne friends ke sath share jarur kare. Agur Friends aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto please aap ise post pe comment jarur kare mai aap ka pura help karunga. Or hmare social media network ko like, share or join jarur kare.

Monday, 11 February 2019

Paytm Account me save kiye hue card details ko delete kaise kare

Hi Friends,

Paytm Account me save kiye hue card details ko delete kaise kare - Paytm Account me save kiye hue card Details ko delete kaise kare iske bare me bhut se janna chate honge. Bhut se logo ko Paytm Account me save kiye hue card Details ko delete kaise kare ke bare me nhi pata hota hai. Abi kuche time phele maine apne friends ke paytm ko use kiya or Jab maine Paytm Account me apne card se money Add kiya to vo card details save ho gya.

Paytm Account me save kiye hue card details ko delete kaise kare

Jab maine Paytm Account me save kiye hue card Details ko mai jab delete karne ka option dekh rha tha to. Fir Paytm Account me save kiye hue card details ko delete karne ka option dikh nhi rha tha. Fir maine jab Paytm me sabhi option ke check kiya tab mujhe Paytm Account me save kiye hue card details ko delete karne ka option dikha.

Fir maine socha kyo n Paytm Account me save kiye hue card details ko delete kaise kare ke bare me ek post likha jaye. jiske jariye agur or logo ko bhi problem hoga. To vo ye post padhe kar samajh jayenge. Ki Paytm Account me save kiye hue card details ko delete kaise karte hai.

Paytm Account me save kiye hue card details ko delete kaise kare

Paytm Account me save kiye hue card details ko delete karna bhut asan hai. Agur aap ko iske bare me pata hoto. Agur aap ko nhi pata hai. ki Paytm Account me save kiye hue card details ko kaise delete  karte hai. to aap ise post ko suru se lekar last tk jarur padhe.

Step1:- Sbase phele aap ko Paytm Account me save kiye hue card details ko delete karne ke liye Paytm app ko Open karna hoga.

Step2:- Ab aap Apna card add karke money add karle ab aap ka card details save ho gya hai.

Step3:- Ab aap ko Paytm app me left side me sabse upar 3 subtract line ke trhe option hoga aap uspe click kare.

Step4:- Ab aap ko Profile pe click karna hai. Jab aap scroll down karenge to aap ko Payment ka option show hoga. Aap ko Payment ke option me sabse phela option Setting ka show hoga. Aap setting ke option pe click kare.

Step5:- Ab aap ke samne Saved Payment Method ka page hoga. Aap ko ise page me sabhi Paytm Account me save kiye hue card details show honge ab aap jise card ko delete karna chahte hai. Aap 3 points pe click karke Delete this card pe click karde.

Istrhe se friends aap apne Paytm Account me save kiye hue card details ko delete kar sakte hai.

Ok Friends aaj ke Paytm Account me save kiye hue card details ko delete kaise kare post me bs itna hi. Agur aap ko ye post Pasand aaya hoto ise post ko apne friends ke sath share jarur kare. Agur Friends aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto please aap ise post pe comment jarur kare mai aap ka pura help karunga. Or hmare social media network ko like, share or join jarur kare.

Ye Bhi Padhe

Popular Posts

Contact Form

Name

Email *

Message *